Tanhai Ne Par Phailae Raat Ne Apni Zulfen

tanhai ne par phailae raat ne apni zulfen

palkon par hum tare le kar chand ka rasta dekhen

ye duniya hai is duniya ka rang badalta jae

us parbat se panw phisle jis parbat ko chhu len

kaise pyas bujhate dariya ret ka dariya nikla

lahr lahr mein mauj chhupi thi dhoke mein thi aankhen

jis ko man ka mit banaya aaKHir dushman Thahra

kis kis ko hum mit banaen kis kis se hum uljhen

loha sona ban sakta hai patthar hira moti

soch samajh ki baat hai sari kuchh sochen kuchh samjhen

apna dard bhula den ai dil us ke dard ki KHatir

apne ghaw yaad na aaen chand ka ghaw dekhen

(768) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tanhai Ne Par Phailae Raat Ne Apni Zulfen In English By Famous Poet Ahmad Zafar. Tanhai Ne Par Phailae Raat Ne Apni Zulfen is written by Ahmad Zafar. Read famous Poem Tanhai Ne Par Phailae Raat Ne Apni Zulfen for youth and Student by Ahmad Zafar. Free Download Tanhai Ne Par Phailae Raat Ne Apni Zulfen in PDF.