Taras Raha Hun Qarar-e-dil-o-nazar Ke Liye

taras raha hun qarar-e-dil-o-nazar ke liye

sukut-e-shab mein dua jis tarah sahar ke liye

main KHak-e-rah-guzar hun ki masnad-e-gul hun

ek iztirab-e-musalsal hai umr bhar ke liye

shajar ki jin se udasi Tapakti rahti hai

ye sang-e-mil hain shayad meri nazar ke liye

jamal-e-dost ko mashal bana liya main ne

wafa ki raKHt-e-safar hai mere safar ke liye

tere KHayal ka aiwan lahu se raushan hai

meri nazar ka ujala hai rahguzar ke liye

shikast jis se zamana larazta rahta hai

wahi nawed-e-masarrat bhi hai 'zafar' ke liye

(776) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Taras Raha Hun Qarar-e-dil-o-nazar Ke Liye In English By Famous Poet Ahmad Zafar. Taras Raha Hun Qarar-e-dil-o-nazar Ke Liye is written by Ahmad Zafar. Read famous Poem Taras Raha Hun Qarar-e-dil-o-nazar Ke Liye for youth and Student by Ahmad Zafar. Free Download Taras Raha Hun Qarar-e-dil-o-nazar Ke Liye in PDF.