Pyar Kiya Tha Tum Se Maine Ab Ehsan Jatana Kya

pyar kiya tha tum se main ne ab ehsan jatana kya

KHwab huin wo pyar ki baaten baaton ko dohrana kya

rah-e-wafa hai ham-safro pur-azm raho han tez chalo

chaar qadam pe manzil hai ab rah se wapas jaana kya

sang-zani o tana-zani is daur ka shewa hai yaro

apne dil mein khoT nahin jab duniya se ghabrana kya

mai-KHane mein daur chale main ek ek bund ko tarsa hun

saqi bhi hai meri nazar mein shisha kya paimana kya

mere dil ko toD ke aaKHir kya khoya kya paya hai

shahr-e-sanam mein rahne walo shishe se Takrana kya

basti basti parbat parbat wahshat ki hai dhup 'ziya'

chaaron jaanib virani hai dil ka ek virana kya

(1083) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Pyar Kiya Tha Tum Se Maine Ab Ehsan Jatana Kya In English By Famous Poet Ahmad Ziya. Pyar Kiya Tha Tum Se Maine Ab Ehsan Jatana Kya is written by Ahmad Ziya. Read famous Poem Pyar Kiya Tha Tum Se Maine Ab Ehsan Jatana Kya for youth and Student by Ahmad Ziya. Free Download Pyar Kiya Tha Tum Se Maine Ab Ehsan Jatana Kya in PDF.