Wo KHwab Sa Paikar Hai Gul-e-tar Ki Tarah Hai

wo KHwab sa paikar hai gul-e-tar ki tarah hai

aaankhon mein gai sham ke manzar ki tarah hai

ehsas dilati hai ye phaili hui KHushbu

us ghar ki mohabbat bhi mere ghar ki tarah hai

main aaina jaisa hun koi toD na Dale

har shaKHs meri rah mein patthar ki tarah hai

ek main hun ki lahron ki tarah chain nahin hai

ek wo hai ki KHamosh samundar ki tarah hai

wo jis ne 'ziya' harf bhi dil mein na utara

wo aaj sar-e-bazm suKHan-war ki tarah hai

(676) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo KHwab Sa Paikar Hai Gul-e-tar Ki Tarah Hai In English By Famous Poet Ahmad Ziya. Wo KHwab Sa Paikar Hai Gul-e-tar Ki Tarah Hai is written by Ahmad Ziya. Read famous Poem Wo KHwab Sa Paikar Hai Gul-e-tar Ki Tarah Hai for youth and Student by Ahmad Ziya. Free Download Wo KHwab Sa Paikar Hai Gul-e-tar Ki Tarah Hai in PDF.