Zara Sukun Bhi Sahra Ke Pyar Ne Na Diya

zara sukun bhi sahra ke pyar ne na diya

musafiron ko hawa ne pukarne na diya

tujhe bhi de na sake chain wo gulab ke phul

mujhe bhi izn-e-tabassum bahaar ne na diya

na jaane kitne marahil ke baad paya tha

wo ek lamha jo tu ne guzarne na diya

kahan gae wo jo aabaad the KHarabe mein

pata kisi ka dil-e-be-qarar ne na diya

main aap-apne liye dushmanon se baDh kar tha

'ziya' ye dil tha mera jis ne haarne na diya

(832) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zara Sukun Bhi Sahra Ke Pyar Ne Na Diya In English By Famous Poet Ahmad Ziya. Zara Sukun Bhi Sahra Ke Pyar Ne Na Diya is written by Ahmad Ziya. Read famous Poem Zara Sukun Bhi Sahra Ke Pyar Ne Na Diya for youth and Student by Ahmad Ziya. Free Download Zara Sukun Bhi Sahra Ke Pyar Ne Na Diya in PDF.