Dil Ko Ba-nam-e-ishq Sajaana PaDa Hamein

dil ko ba-nam-e-ishq sajaana paDa hamein

phir ek fareb dil mein basana paDa hamein

ye kis ka haal kis ko sunana paDa hamein

aur dil ka haal dil se chhupana paDa hamein

jal kar bhi tere nam ki KHushbu bikher de

phulon mein aisi aag lagana paDa hamein

daman ye KHar se nahin phulon se tar hai

jaane ye kaisa qarz chukana paDa hamein

jab se KHushi salib-e-mohabbat pe chaDh gai

hansna bhi ab udhaar mein lana paDa hamein

khulte hain roz kya ye mohabbat ke mai-kade

ye aazma ke dekhne jaana paDa hamein

ek aarzu ke waste kya kya nahin kiya

'ahmad' 'nisar' dil ko jalana paDa hamein

(983) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Ko Ba-nam-e-ishq Sajaana PaDa Hamein In English By Famous Poet Ahmed Nisar. Dil Ko Ba-nam-e-ishq Sajaana PaDa Hamein is written by Ahmed Nisar. Read famous Poem Dil Ko Ba-nam-e-ishq Sajaana PaDa Hamein for youth and Student by Ahmed Nisar. Free Download Dil Ko Ba-nam-e-ishq Sajaana PaDa Hamein in PDF.