Gham Ka PahaD Mom Ke Jaise Pighal Gaya

gham ka pahaD mom ke jaise pighal gaya

ek aag le ke ashkon ki surat nikal gaya

KHush-fahmiyon ko soch ke main bhi machal gaya

jaise khilauna dekh ke bachcha bahal gaya

kal tak to khelta tha wo shoalon se aag se

na jaane aaj kaise wo pani se jal gaya

jhulse badan ko dekh ke katra raha hai wo

jis ke main ghar ki aag bujhane mein jal gaya

barish hui ghamon ki to aankhon ki sip mein

aansu ka qatra palkon se girte sambhal gaya

waise sabhi to zist se daman bacha liye

wo kaun hai jo maut se bach kar nikal gaya

taqdir so na jae kahin jagiye zara

dekho taraqqiyon ka bhi suraj nikal gaya

gar ho sake to aap bhi badlo miyan 'nisar'

kahna paDe na ye ki zamana badal gaya

(830) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gham Ka PahaD Mom Ke Jaise Pighal Gaya In English By Famous Poet Ahmed Nisar. Gham Ka PahaD Mom Ke Jaise Pighal Gaya is written by Ahmed Nisar. Read famous Poem Gham Ka PahaD Mom Ke Jaise Pighal Gaya for youth and Student by Ahmed Nisar. Free Download Gham Ka PahaD Mom Ke Jaise Pighal Gaya in PDF.