Ishq Mein Barbaad Hone Ke Siwa Rakkha Na Tha

ishq mein barbaad hone ke siwa rakkha na tha

gham ko sahne ke alawa koi bhi chaara na tha

yaad rah rah kar kisi ki hai satati raat bhar

subh hote bhul jaana ye tujhe shewa na tha

ye teri ulfat mujhe rakhti hai betabi mein gum

ye sabhi ko thi KHabar lekin koi charcha na tha

aaina dekhun to kyun tu hi nazar aae mujhe

bolta hai kya tera chehra mere jaisa na tha

din guzar jata hai duniya ki masafat mein magar

raat hi ek imtihan hai jis ka andaza na tha

raat ki tanhaiyan aaghosh mein le kar mujhe

puchhti hain kya kabhi tanhaiyan dekha na tha

kya mohabbat wo nasha hai main zara jaanun 'nisar'

zindagi mein is tarah pahle kabhi bahka na tha

(901) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ishq Mein Barbaad Hone Ke Siwa Rakkha Na Tha In English By Famous Poet Ahmed Nisar. Ishq Mein Barbaad Hone Ke Siwa Rakkha Na Tha is written by Ahmed Nisar. Read famous Poem Ishq Mein Barbaad Hone Ke Siwa Rakkha Na Tha for youth and Student by Ahmed Nisar. Free Download Ishq Mein Barbaad Hone Ke Siwa Rakkha Na Tha in PDF.