Ilaj-e-hasrat-e-dil-gir Kar Raha Hun Main

ilaj-e-hasrat-e-dil-gir kar raha hun main

muqaddaraat ki tamir kar raha hun main

tasawwuraat ki kirchen sameT kar ek ek

burida KHwab ki tafsir kar raha hun main

ki gundh kar mah-e-taban ki zau-fishan kirnen

ilaj-e-zulmat-e-be-pir kar raha hun main

jaga ke fahm ki lau zehn ke darichon mein

nae nizam ko tahrir kar raha hun main

ye azm hai ki badal dun main baKHt ka chehra

ba-sad KHulus ye tadbir kar raha hun main

hasin raat kiran chand ki hina ki mahak

mila ke ab teri taswir kar raha hun main

(579) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ilaj-e-hasrat-e-dil-gir Kar Raha Hun Main In English By Famous Poet Ahsan Lakhnavi. Ilaj-e-hasrat-e-dil-gir Kar Raha Hun Main is written by Ahsan Lakhnavi. Read famous Poem Ilaj-e-hasrat-e-dil-gir Kar Raha Hun Main for youth and Student by Ahsan Lakhnavi. Free Download Ilaj-e-hasrat-e-dil-gir Kar Raha Hun Main in PDF.