Jo Jo Shuur-e-zehn Pe Aata Chala Gaya

jo jo shuur-e-zehn pe aata chala gaya

dil kulfaton ke dagh miTata chala gaya

la kar bahaar-e-nau ke gul-e-nudrat-e-KHayal

sahra ko main chaman sa banata chala gaya

allah ka ye fazl hai mujh pe ki bahr-e-ilm

kuze se mere dil mein samata chala gaya

alfaz ke guhar se ghazal ki zamin ko main

jaise falak-nazhad banta chala gaya

tar-e-nafas pe chheD ke ek naghma-e-hayat

main aagahi ke saz pe gata chala gaya

ulfat ki rah kar ke zamane pe aashkar

'ahsan' main KHar-e-rah haTata chala gaya

(718) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Jo Shuur-e-zehn Pe Aata Chala Gaya In English By Famous Poet Ahsan Lakhnavi. Jo Jo Shuur-e-zehn Pe Aata Chala Gaya is written by Ahsan Lakhnavi. Read famous Poem Jo Jo Shuur-e-zehn Pe Aata Chala Gaya for youth and Student by Ahsan Lakhnavi. Free Download Jo Jo Shuur-e-zehn Pe Aata Chala Gaya in PDF.