Ai Dil Na Sun Afsana Kisi ShoKH Hasin Ka

ai dil na sun afsana kisi shoKH hasin ka

na-aqibat-andesh rahega na kahin ka

duniya ka raha hai dil-e-nakaam na din ka

is ishq-e-bad-anjam ne rakkha na kahin ka

hain tak mein ek shoKH ki duz-dida nigahen

allah nigahban hai ab jaan-e-hazin ka

haalat dil-e-betab ki dekhi nahin jati

behtar hai ki ho jae ye paiwand zamin ka

go qadr wahan KHak bhi hoti nahin meri

har waqt tasawwur hai magar dil mein wahin ka

har aashiq-e-jaan-baz ko Dar ai sitam-ara

talwar se baDh kar hai teri chin-e-jabin ka

kuchh saKHti-e-duniya ka mujhe gham nahin 'ahsan'

khaTka hai magar dil ko dam-e-baz-pasin ka

(636) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ai Dil Na Sun Afsana Kisi ShoKH Hasin Ka In English By Famous Poet Ahsan Marahravi. Ai Dil Na Sun Afsana Kisi ShoKH Hasin Ka is written by Ahsan Marahravi. Read famous Poem Ai Dil Na Sun Afsana Kisi ShoKH Hasin Ka for youth and Student by Ahsan Marahravi. Free Download Ai Dil Na Sun Afsana Kisi ShoKH Hasin Ka in PDF.