Ada Mein Bankpan Andaz Mein Ek Aan Paida Kar

ada mein bankpan andaz mein ek aan paida kar

tujhe mashuq banna hai to puri shan paida kar

kahan ka wasl kaisi aarzu ai dil wo kahte hain

na main hasrat karun puri na tu arman paida kar

hamara intiKHab achchha nahin ai dil to phir tu hi

KHayal-e-yar se behtar koi mehman paida kar

mujhe hai rashk us ko bhi raqib apna samajhta hun

na dekhe jo tujhe aisa koi darban paida kar

KHayal-e-zabt-e-ulfat hai to 'ahsan' KHauf phir kaisa

na dhaDke dil bhi sine mein wo itminan paida kar

(702) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ada Mein Bankpan Andaz Mein Ek Aan Paida Kar In English By Famous Poet Ahsan Marahravi. Ada Mein Bankpan Andaz Mein Ek Aan Paida Kar is written by Ahsan Marahravi. Read famous Poem Ada Mein Bankpan Andaz Mein Ek Aan Paida Kar for youth and Student by Ahsan Marahravi. Free Download Ada Mein Bankpan Andaz Mein Ek Aan Paida Kar in PDF.