Chahiye Ishq Mein Is Tarah Fana Ho Jaana

chahiye ishq mein is tarah fana ho jaana

jis tarah aankh uThe mahw-e-ada ho jaana

kisi mashuq ka aashiq se KHafa ho jaana

ruh ka jism se goya hai juda ho jaana

maut hi aap ke bimar ki qismat mein na thi

warna kab zahr ka mumkin tha dawa ho jaana

apne pahlu mein tujhe dekh ke hairat hai mujhe

KHarq-e-adat hai tera wada wafa ho jaana

waqat-e-ishq kahan jab ye talawwun ho wahan

kabhi raazi kabhi aashiq se KHafa ho jaana

jab mulaqat hui tum se to takrar hui

aise milne se to behtar hai juda ho jaana

chheD kuchh ho ki na ho baat hui ho ki na ho

baiThe baiThe unhen aata hai KHafa ho jaana

mujh se phir jae jo duniya to bala se phir jae

tu na ai aah zamane ki hawa ho jaana

'ahsan' achchha hai rahe mal-e-arab pesh-e-arab

de ke dil tum na giraftar-e-bala ho jaana

(720) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chahiye Ishq Mein Is Tarah Fana Ho Jaana In English By Famous Poet Ahsan Marahravi. Chahiye Ishq Mein Is Tarah Fana Ho Jaana is written by Ahsan Marahravi. Read famous Poem Chahiye Ishq Mein Is Tarah Fana Ho Jaana for youth and Student by Ahsan Marahravi. Free Download Chahiye Ishq Mein Is Tarah Fana Ho Jaana in PDF.