Mutmain Apne Yaqin Par Agar Insan Ho Jae

mutmain apne yaqin par agar insan ho jae

sau hijabon mein jo pinhan hai numayan ho jae

is tarah qurb tera aur bhi aasan ho jae

mera ek ek nafas kash rag-e-jaan ho jae

wo kabhi sehn-e-chaman mein jo KHiraman ho jae

ghuncha baalida ho itna ki gulistan ho jae

ishq ka koi natija to ho achchha ki bura

zist mushkil hai to marna mera aasan ho jae

jaan le naz agar martaba-e-ijz-o-niyaz

husn sau jaan se KHud ishq ka KHwahan ho jae

mere hi dam se hai aabaad junun-KHana-e-ishq

main na hun qaid to barbaadi-e-zindan ho jae

hai tere husn ka nazzara wo hairat-afza

dekh le chashm-e-tasawwur bhi to hairan ho jae

did ho baat na ho aankh mile dil na mile

ek din koi to pura mera arman ho jae

main agar ashk-e-nidamat ke jawahir bhar lun

tosha-e-hashr mera gosha-e-daman ho jae

le ke dil tark-e-jafa par nahin raazi to mujhe

hai ye manzur ki wo jaan ka KHwahan ho jae

apni mahfil mein biTha lo na suno kuchh na kaho

kam se kam ek din 'ahsan' pe ye ehsan ho jae

(697) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mutmain Apne Yaqin Par Agar Insan Ho Jae In English By Famous Poet Ahsan Marahravi. Mutmain Apne Yaqin Par Agar Insan Ho Jae is written by Ahsan Marahravi. Read famous Poem Mutmain Apne Yaqin Par Agar Insan Ho Jae for youth and Student by Ahsan Marahravi. Free Download Mutmain Apne Yaqin Par Agar Insan Ho Jae in PDF.