Nazzara Jo Hota Hai Lab-e-baam Tumhaara

nazzara jo hota hai lab-e-baam tumhaara

duniya mein uchhalta hai bahut nam tumhaara

darban hai na hai ghair-e-bad-anjam tumhaara

kaam aaega aaKHir yahi nakaam tumhaara

dushnam suno de ke dil ai husn-paraston

ye kaam tumhaara hai wo inam tumhaara

aaghaz-e-mohabbat hai ho KHush hazrat-e-dil kya

achchha nazar aata nahin anjam tumhaara

'ahsan' ki tabiat se abhi tum nahin waqif

hai dil se dua-go sahar o sham tumhaara

(912) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nazzara Jo Hota Hai Lab-e-baam Tumhaara In English By Famous Poet Ahsan Marahravi. Nazzara Jo Hota Hai Lab-e-baam Tumhaara is written by Ahsan Marahravi. Read famous Poem Nazzara Jo Hota Hai Lab-e-baam Tumhaara for youth and Student by Ahsan Marahravi. Free Download Nazzara Jo Hota Hai Lab-e-baam Tumhaara in PDF.