Jidhar Se Wadi-e-hairat Mein Hum Guzarte Hain

jidhar se wadi-e-hairat mein hum guzarte hain

udhar to ahl-e-tamanna bhi kam guzarte hain

tere huzur jo anfas-e-gham guzarte hain

ajab hayat ke aalam se hum guzarte hain

rawan hai barq ka shoala sahab-e-rahmat mein

naqab Dal ke ahl-e-sitam guzarte hain

hayat rok rahi hai koi qadam na baDhae

ki aaj manzil-e-hasti se hum guzarte hain

lalak baDha ke faqat chand bund barsa ke

rawan-dawan se sahab-e-karam guzarte hain

tajjub un ke liye marg-e-na-gahani ka

jo zindagi ke marahil se kam guzarte hain

muKHalifat hai khuli ab na dosti 'ahsan'

ghuTi ghuTi si fazaon se hum guzarte hain

(703) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jidhar Se Wadi-e-hairat Mein Hum Guzarte Hain In English By Famous Poet Ahsan Rizvi Danapuri. Jidhar Se Wadi-e-hairat Mein Hum Guzarte Hain is written by Ahsan Rizvi Danapuri. Read famous Poem Jidhar Se Wadi-e-hairat Mein Hum Guzarte Hain for youth and Student by Ahsan Rizvi Danapuri. Free Download Jidhar Se Wadi-e-hairat Mein Hum Guzarte Hain in PDF.