Qalb Ki Banjar Zamin Par KHwahishen Bote Hue

qalb ki banjar zamin par KHwahishen bote hue

KHud ko aksar dekhta hun KHwab mein rote hue

dasht-e-viran ka safar hai aur nazar ke samne

moajaze dar moajaze dar moajaze hote hue

gamzan hain hum musalsal ajnabi manzil ki or

zindagi ki aarzu mein zindagi khote hue

kal mere ham-zad ne mujh se kiya dilkash sawal

kis ko deta hun sadaen raat bhar sote hue

ast hota ja raha hai ek suraj us taraf

is taraf wo dikh raha hai phir uday hote hue

(805) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Qalb Ki Banjar Zamin Par KHwahishen Bote Hue In English By Famous Poet Ain Irfan. Qalb Ki Banjar Zamin Par KHwahishen Bote Hue is written by Ain Irfan. Read famous Poem Qalb Ki Banjar Zamin Par KHwahishen Bote Hue for youth and Student by Ain Irfan. Free Download Qalb Ki Banjar Zamin Par KHwahishen Bote Hue in PDF.