Na Tirgi Ke Liye Hun Na Raushni Ke Liye

na tirgi ke liye hun na raushni ke liye

sitara-e-sahari hun main zindagi ke liye

ye kaun waqt ki surat mujhe badalta hai

ye kya kisi ke liye kuchh hun kuchh kisi ke liye

sarab-e-KHwab ki tabir ju-e-ab sahi

main sochta hun magar dasht-e-tishnagi ke liye

wo mutmain hun guman ko yaqin samajhta hun

yaqin ki KHud nahin kuchh kam jo gumrahi ke liye

kahin wo meri tarah mera aashna hi na ho

hazar KHwab bunun main jis ajnabi ke liye

wo aasman ho ki sahra wajud ho ki adam

faza bani hai ye kis sharh-e-KHamushi ke liye

(2208) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Tirgi Ke Liye Hun Na Raushni Ke Liye In English By Famous Poet Ain Salam. Na Tirgi Ke Liye Hun Na Raushni Ke Liye is written by Ain Salam. Read famous Poem Na Tirgi Ke Liye Hun Na Raushni Ke Liye for youth and Student by Ain Salam. Free Download Na Tirgi Ke Liye Hun Na Raushni Ke Liye in PDF.