Bazm Khaali Nahin Mehman Nikal Aate Hain

bazm KHali nahin mehman nikal aate hain

kuchh to afsane meri jaan nikal aate hain

roz ek marg ka aalam bhi guzarta hai yahan

roz jine ke bhi saman nikal aate hain

sochta hun par-e-parwaz sameTun lekin

kitne bhule hue paiman nikal aate hain

yaad ke soe hue qafile jag uThte hain

KHwab ke kuchh nae unwan nikal aate hain

baiThna chahti hai thak ke jo wahshat apni

kitne hi dasht-o-bayaban nikal aate hain

istiare hain jo aankhon se chhalak paDte hain

kitne hi ashk ke diwan nikal aate hain

ek zara chain bhi lete nahin 'tabish'-sahab

mulk-e-gham se nae farman nikal aate hain

(994) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bazm Khaali Nahin Mehman Nikal Aate Hain In English By Famous Poet Ain Tabish. Bazm Khaali Nahin Mehman Nikal Aate Hain is written by Ain Tabish. Read famous Poem Bazm Khaali Nahin Mehman Nikal Aate Hain for youth and Student by Ain Tabish. Free Download Bazm Khaali Nahin Mehman Nikal Aate Hain in PDF.