Ghani Siyah Zulf Badliyon Si Bila Sabab Mujh Mein Jagti Hai

ghani siyah zulf badliyon si bila sabab mujh mein jagti hai

wo KHwahish-e-na-murad ab tak tamam shab mujh mein jagti hai

wo ek basti jo so gai hai udas be-nam ho gai hai

ba-harf-o-saut ab bhi chiKHti hai ba-chashm-o-lab mujh mein jagti hai

tere KHayalon ki mamlikat ke tamam asnam gir chuke hain

bas ek tamanna-e-kafirana bas ek talab mujh mein jagti hai

main us ghaDi apne aap ka samna bhi karne se bhagta hun

wo zina zina utarne wali shabih jab mujh mein jagti hai

is ek nigah mein main kab hun larzan use bhi is ki KHabar nahin hai

main KHud bhi is baat ko nahin jaanta wo kab mujh mein jagti hai

(773) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghani Siyah Zulf Badliyon Si Bila Sabab Mujh Mein Jagti Hai In English By Famous Poet Ain Tabish. Ghani Siyah Zulf Badliyon Si Bila Sabab Mujh Mein Jagti Hai is written by Ain Tabish. Read famous Poem Ghani Siyah Zulf Badliyon Si Bila Sabab Mujh Mein Jagti Hai for youth and Student by Ain Tabish. Free Download Ghani Siyah Zulf Badliyon Si Bila Sabab Mujh Mein Jagti Hai in PDF.