Tabish Ye Bhala Kaun Si Rut Aai Hai Jaani

tabish ye bhala kaun si rut aai hai jaani

sahra mein koi reg na dariya mein hai pani

KHalwat-kada-e-dil pe zabun-haali-e-bisyar

hai surat ganjina-e-alfaz-o-maani

har chand hui is ke ewaz dil ki KHarabi

kya kahiye ki baDhta raha shauq-e-hama-dani

mujh se meri roti hui aankhen to na chhino

rahne do mere pas meri koi nishani

diwar-o-dar-o-baam ki virani ne akasr

ro ro ke kahi mausam-e-rafta ki kahani

(813) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tabish Ye Bhala Kaun Si Rut Aai Hai Jaani In English By Famous Poet Ain Tabish. Tabish Ye Bhala Kaun Si Rut Aai Hai Jaani is written by Ain Tabish. Read famous Poem Tabish Ye Bhala Kaun Si Rut Aai Hai Jaani for youth and Student by Ain Tabish. Free Download Tabish Ye Bhala Kaun Si Rut Aai Hai Jaani in PDF.