Aansuon Ke Ratjagon Se

sare manzar ek jaise

sari duniya ek si

nashpati ke daraKHton se

khajuron ki ghani shaKHon talak

duniya achanak ek jaisi ho gai hai

misr ke ahram ki mahzun fazaen

dam-ba-KHud hain kufa o baghdad ke bazar mein

kazimain o mashhad-e-earaq se nauhe nikal kar

sarhad-e-labnan tak pahunche hue hain

shahr-e-dilli ke andhere

zulmat-e-lahore se milne lage hain

shor kabul ka sunai deta hai

bartania ki mahfilon mein

KHwahish-e-newyark zinda hoti hai

Dhake ki purani dilruba galiyon mein

goya sari duniya ek jaisi ho gai hai

sare manzar ek se

ujDi hui aankhon mein sare KHwab

yaadon ka fusun ummid ke sare fasurda aaftab

ek ho sakte hain

aao in se mil-mila kar ek jahan-e-taza-tar paida karen

in lahu ki bundon se

raste sajaen

aansuon ke ratjagon se aarzu-e-chashm-e-tar paida karen

(744) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aansuon Ke Ratjagon Se In English By Famous Poet Ain Tabish. Aansuon Ke Ratjagon Se is written by Ain Tabish. Read famous Poem Aansuon Ke Ratjagon Se for youth and Student by Ain Tabish. Free Download Aansuon Ke Ratjagon Se in PDF.