Main Albam Ke Waraq Jab Bhi UlaTta Hun

zamane kho gae aainda o rafta ke mele mein

zaminen gum huin paikar-e-has-o-nist mein aisi

koi naqsha makanon aur makinon tak

pahunchne ka zariya bhi nahin banta hai

taswiren ab apni bastiyon mein

dam-ba-KHud sahmi hui nadim paDi hain

main albam ke waraq jab bhi ulaTta hun

to kuchh aansu ke qatre jhilmilate hain

fasurda gum-shuda chehre

ghubar-e-na-shanasai mein

kuchh dhundle hayyulon ki tarah

fariyaad karte hain

waraq albam ke guzre mausamon

maghmum aankhon train ki khiDki se

hilte hathon pichhe chhuTti aabaadiyon

ko yaad karte hain

main albam ke waraq jab bhi ulaTta hun

kisi dasht-e-faramoshi mein

sukhe peD par

ek aaKHiri patte ki surat

sare lamhe mujh ko tanha chhoD aate hain

main is tanhai ke jangal mein

larzan dil-pareshan raqs karta hun

main KHud ko bhul jaane ka

yaqinan (hausla baqi nahin hai)

swang bharta hun

(834) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Albam Ke Waraq Jab Bhi UlaTta Hun In English By Famous Poet Ain Tabish. Main Albam Ke Waraq Jab Bhi UlaTta Hun is written by Ain Tabish. Read famous Poem Main Albam Ke Waraq Jab Bhi UlaTta Hun for youth and Student by Ain Tabish. Free Download Main Albam Ke Waraq Jab Bhi UlaTta Hun in PDF.