Mulaqaten Nahin Phir Bhi Mulaqaten

subu TuTe

mohabbat ki namazon mein

wazu TuTe

dua roi

dua ke aasmanon par

kai chashman o lab roe

kabhi koi sabab rone ka nikla hai

magar hum be-sabab roe

zaminon aur zamanon ki ajab

ranju gardish mein

hawa ke aastane par

jhukae sar pashiman be-zaban

tanhaiyon ke qafile utre

wahi hum the

mujassam bandagi zaKHmi tamashe ke nishane par

kabhi sahme hue KHwahish ki

retili fazaon mein

tumhein dekha tumhein chaha

kabhi mausam-e-faramoshi ke narghe mein

udasi ki fasilon par

azan-e-KHud-kalami di

tumhaare faslon ko apni mahrumi ki KHalwat mein

biThaya baam-o-dar ko

ajnabiyat ke sitaron se sajaya

wahi hum the

hamari baat ke raqs-e-junun mein

kho diya tum ko

wahi tum the

wida-e-lamha-e-tajil ki KHatir

thake TuTe hue aa kar lipaT jaane

ki KHwahish mein

bikharte apni aankhon ke muqaddas motiyon mein

lamha-e-aKHir guzar jaane ki dhun mein

umr-bhar KHud se gurezan rah gae

hum tum hijab-e-na-shanasai ke

mujrim ban gae

har fasla kitne adhure faslon ka

istiara hai

samundar dekh teri aastinon mein

fughan karta kinara hai

mulaqaten, nahin phir bhi mulaqaten

mulaqaton ki kuchh ummid baqi rah na jae

ashk ka ek aaKHiri qatra bhi

yunhi bah na jae

(1069) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mulaqaten Nahin Phir Bhi Mulaqaten In English By Famous Poet Ain Tabish. Mulaqaten Nahin Phir Bhi Mulaqaten is written by Ain Tabish. Read famous Poem Mulaqaten Nahin Phir Bhi Mulaqaten for youth and Student by Ain Tabish. Free Download Mulaqaten Nahin Phir Bhi Mulaqaten in PDF.