Pahle To Shahr Aisa Na Tha

ek bar chal kar dekh len

shayad guzishta mausamon ka koi ek

dhundla nishan mil jae

aur phir se faza shadab ho

ujDa hua ek KHwab ho

taswir mein kuchh gard-baad-e-baqiyat-e-mimbar-o-mehrab ho

ek bar chal kar dekh len

phir band hote shahr ke bazar ko

jhanken zara

ujDi dukanon mein

kulah o jubba o dastar ko

ek shahr-e-taza-kar ko kuchh der bhulen

aur us ko silwaTon mein

DhunDen ek khoi hui taswir ko

taswir mein kuchh baqiyat-e-mimbar-o-mehrab hain

kuchh jalwa-ha-e-ahd-e-alam-tab hain

wo lash jo kuchli gai

wo KHwab jo raunde gae

wo nam jo bhule gae

in silwaTon mein dafn

kitni barkaton ke raaz hain

ek bar chal kar dekh len

pahle to shahr aisa na tha

(797) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Pahle To Shahr Aisa Na Tha In English By Famous Poet Ain Tabish. Pahle To Shahr Aisa Na Tha is written by Ain Tabish. Read famous Poem Pahle To Shahr Aisa Na Tha for youth and Student by Ain Tabish. Free Download Pahle To Shahr Aisa Na Tha in PDF.