Purani Filon Mein Gungunati Sham

ab in bosida kaghaz ke pulandon ki

zarurat kya bachi hai

in lifafon par pate sare

purane ho chuke hain

in ko rakhna kis liye

be-rang tahriron mein Dube

in KHaton ki kyun hifazat chahiye

ye purani filen zae agar ho jaen

to nuqsan kya hai

hath kyun rukte hain

in kaghaz ke TukDon ko jalane mein

ab in ki manawiyat kya bachi hai

itne mah o sal ke baad

is zamane mein

mahak kaisi hai in mein

ya jo KHushbu si lapakti hai

to kya hai ye ruton ka KHarKHasha ab koi rut hogi ki jis ne

kaghazon par chhoD rakkha hai asar

barson guzarte hain

nahin, kuchh bhi nahin yaad aata hai

lekin ye mere hath in ko chhute hi

kyun kanpne lagte hain

pahle bhi to bosida bahut kaghaz jalae hain

na jaane in purani filon par

kaun se guzre hue

lamhon ke sae hain

(884) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Purani Filon Mein Gungunati Sham In English By Famous Poet Ain Tabish. Purani Filon Mein Gungunati Sham is written by Ain Tabish. Read famous Poem Purani Filon Mein Gungunati Sham for youth and Student by Ain Tabish. Free Download Purani Filon Mein Gungunati Sham in PDF.