Raat Abhi Aadhi Guzri Hai

raat abhi aadhi guzri hai

shahr ki raunaq bujhi nahin hai

thake nahin hain us mahfil ke saz abhi tak

yaad ke baala-KHanon se aati hai kuchh aawaz abhi tak

main ki zawal-e-shahr ka nauha likhne wala

ek purana qissa-go hun

alamaton ke jangal se

sandal ki lakDi hath mein le kar

aiwanon se guzar raha hun

sazinde ab

aaKHiri thap ki mahrumi

shab ki mizan par tol rahe hain

dhime suron mein

sust parinde

apni boli bol rahe hain

udhar gali mein

muarraKHin-e-bab-e-mashriq

nai kitaben khol rahe hain

raat abhi aadhi guzri hai

lekin subh-e-nau ki kirnen

apna rasta DhunDhti

misr ke bazaron mein utar rahi hain

aadhi raat ke baad

tabl bajta hai taza manzar ka

mujhe bhi sara hisab barabar karna hai apne ghar ka

(753) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raat Abhi Aadhi Guzri Hai In English By Famous Poet Ain Tabish. Raat Abhi Aadhi Guzri Hai is written by Ain Tabish. Read famous Poem Raat Abhi Aadhi Guzri Hai for youth and Student by Ain Tabish. Free Download Raat Abhi Aadhi Guzri Hai in PDF.