Zamin Apne BeTon Ko Pahchanti Hai

zamin ek muddat se

haft-asman ki taraf sar uThae hue

ro rahi hai

zamin apne aansu

bahut apni hi kokh mein bo rahi hai

zamin dil-kushada hai kitni

falak ke utare hue bojh bhi Dho rahi hai

faza par bahut dhund chhai hui hai

jawan gul-badan shahazade

zamin ke dulare

ujaDti hui bazm ke chand tare

kaTi gardanon goliyon se chhide jism ki

rut sajae lahu mein nahae

zamin ki taraf aa rahe hain

zamin ek muddat se

is kar-o-bar-e-sitam mein ghiri hai

zamin ro rahi hai

magar us ke aansu ki tahrir

raushan hai itni

ki aainda mausam isi zinda tahrir se

jagmagate rahenge

agar is ke shahzade

yunhi lahu mein nahate rahenge

to ek roz tariKH

un ke liye hashr barpa karegi

(832) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zamin Apne BeTon Ko Pahchanti Hai In English By Famous Poet Ain Tabish. Zamin Apne BeTon Ko Pahchanti Hai is written by Ain Tabish. Read famous Poem Zamin Apne BeTon Ko Pahchanti Hai for youth and Student by Ain Tabish. Free Download Zamin Apne BeTon Ko Pahchanti Hai in PDF.