Jo Maine Kah Diya Us Se Mukarne Wala Nahin

jo main ne kah diya us se mukarne wala nahin

ki aasman zamin par utarne wala nahin

main reza reza hun lekin nami abhi tak hai

hawaen lakh chalen main bikharne wala nahin

main jaanta hun wo achchhe dinon ka sathi hai

bure dinon mein idhar se guzarne wala nahin

hamare shahr mein chehra nahin raha shayad

paDe hain aaina-KHane sanwarne wala nahin

tere karam ka saza-war main hun ya dil hai

diya hai tu ne wo kasa jo bharne wala nahin

kahan ka KHwab musafir ki aankh mein 'azim'

ki bahte pani mein manzar Thaharne wala nahin

(731) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Maine Kah Diya Us Se Mukarne Wala Nahin In English By Famous Poet Ainuddin Azim. Jo Maine Kah Diya Us Se Mukarne Wala Nahin is written by Ainuddin Azim. Read famous Poem Jo Maine Kah Diya Us Se Mukarne Wala Nahin for youth and Student by Ainuddin Azim. Free Download Jo Maine Kah Diya Us Se Mukarne Wala Nahin in PDF.