Karobari Shahron Mein Zehn-o-dil Mashinen Hain Jism KarKHana Hai

karobari shahron mein zehn-o-dil mashinen hain jism karKHana hai

jis ki jitni aamadani itna hi baDa us ke hirs ka dahana hai

ye shuur-zade jo manfat-guzida hain haif un ki nazron mein

be-gharaz mulaqaten aur KHulus ki baaten feal-e-ahmaqana hai

apni zat se qurbat apne nam se nisbat apne kaam se raghbat

apna KHol hi un ka KHitta-e-marasim hai ku-e-dostana hai

har KHushi ki mahfil mein qahqahe luTate hain KHud hi luTte bhi hain

gham ki majlison mein bhi sab ka apna apna sar apna apna shana hai

jin buland shaKHon par narm-rau hawaen hain bijliyon ka Dar bhi hai

irtiqa ke jangal mein hadsat ki zad par sab ka aashiyana hai

tarz-e-baghbani mein shiddat-e-numu-KHezi kaise gul khilaegi

nim-wa shagufon ke rang-e-dil-farebi mein bu-e-tajirana hai

jagmagate baam-o-dar jhilmilate rauzan hain chamchamati dahlizen

zahiri chamak 'azim' turra-e-sharafat hai raunaq-e-zamana hai

(1105) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Karobari Shahron Mein Zehn-o-dil Mashinen Hain Jism KarKHana Hai In English By Famous Poet Ainuddin Azim. Karobari Shahron Mein Zehn-o-dil Mashinen Hain Jism KarKHana Hai is written by Ainuddin Azim. Read famous Poem Karobari Shahron Mein Zehn-o-dil Mashinen Hain Jism KarKHana Hai for youth and Student by Ainuddin Azim. Free Download Karobari Shahron Mein Zehn-o-dil Mashinen Hain Jism KarKHana Hai in PDF.