Kya Karun Zarf-e-shanasai Ko

kya karun zarf-e-shanasai ko

main taras jata hun tanhai ko

KHamushi zor-e-bayan hoti hai

rasta dijiye goyai ko

tere jalwon ki farawani hai

aur kya chahiye binai ko

un ki har baat bahut miThi hai

munh lagate nahin sachchai ko

ai samundar main qatil-e-gham hun

jaanta hun teri gahrai ko

baiTha rahta hun akela yunhi

yaad kar ke teri yaktai ko

khinch le jate hain kuchh diwane

apni jaanib tere saudai ko

uf tamasha-gah-e-duniya 'azim'

kitni fursat hai tamashai ko

(796) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kya Karun Zarf-e-shanasai Ko In English By Famous Poet Ainuddin Azim. Kya Karun Zarf-e-shanasai Ko is written by Ainuddin Azim. Read famous Poem Kya Karun Zarf-e-shanasai Ko for youth and Student by Ainuddin Azim. Free Download Kya Karun Zarf-e-shanasai Ko in PDF.