Sataish Na Kijiye Tabrra Sahi

sataish na kijiye tabrra sahi

nahin bint-e-angur Tharra sahi

tassur nahin un ke ruKH par na ho

hai quran to quran muarra sahi

magar kitne suraj hain dushman mere

meri haisiyat ek zarra sahi

kahan chain tere junun-kar ko

gham-e-do-jahan se mubarra sahi

badan dar badan ishq ruh-e-rawan

zaman dar zaman ek Dharra sahi

raunat gharibi ka mahsul hai

sukhi ko saKHawat ka gharra sahi

piyenge yunhi hans ke hum zahr-e-gham

hamare liye roz-marra sahi

mila kuchh to qatil se 'azim' tumhein

pas-e-dagh-e-dil ek chharra sahi

(817) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sataish Na Kijiye Tabrra Sahi In English By Famous Poet Ainuddin Azim. Sataish Na Kijiye Tabrra Sahi is written by Ainuddin Azim. Read famous Poem Sataish Na Kijiye Tabrra Sahi for youth and Student by Ainuddin Azim. Free Download Sataish Na Kijiye Tabrra Sahi in PDF.