SurKH-ru Sab Ko Sar-e-maqtal Nazar Aane Lage
surKH-ru sab ko sar-e-maqtal nazar aane lage
jab hue hum aankh se ojhal nazar aane lage
shahr walo jaan lena ganw mera aa gaya
bachchiyon ke sar pe jab aanchal nazar aane lage
hum ne mangi bhi dua-e-abr-e-rahmat kis ghaDi
jab saron par zulm ke baadal nazar aane lage
aaine par aaj ke jamne na de mazi ki dhul
taki tera aane wala kal nazar aane lage
hum wahan tak bhi na pahunche jis bulandi se gire
jab ki pichhDe log bhi awwal nazar aane lage
log to kahte the 'azim' ye kabhi phalti nahin
zulm ki Tahni pe kaise phal nazar aane lage
(778) Peoples Rate This