Tumhaare Bin Ab Ke Jaan-e-jaan Maine Id Karne Ki Than Li Hai

tumhaare bin ab ke jaan-e-jaan main ne id karne ki Than li hai

ghamon ke ek ek pal se KHushiyan kashid karne ki Than li hai

main us ki baaton ka zahr apni KHamoshiyon mein utar lunga

agar muzir hai to main ne us ko mufid karne ki Than li hai

talash ki shiddaton ne arz-o-sama ki sab duriyan miTa din

so main ne ab teri justuju ko shadid karne ki Than li hai

machine bona hai jin ka pesha unhen zamin bech di hai tum ne

kisan ho kar KHud apni miTTi palid karne ki Than li hai

ye meri tahzib ka asasa hi meri pahchan ban sakega

tamam kohna riwayaton ko jadid karne ki Than li hai

siyah shab ka ghanim shayad ki aa gaya raushni ki zad mein

sabhi charaghon ko jis ne 'azim' shahid karne ki Than li hai

(750) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tumhaare Bin Ab Ke Jaan-e-jaan Maine Id Karne Ki Than Li Hai In English By Famous Poet Ainuddin Azim. Tumhaare Bin Ab Ke Jaan-e-jaan Maine Id Karne Ki Than Li Hai is written by Ainuddin Azim. Read famous Poem Tumhaare Bin Ab Ke Jaan-e-jaan Maine Id Karne Ki Than Li Hai for youth and Student by Ainuddin Azim. Free Download Tumhaare Bin Ab Ke Jaan-e-jaan Maine Id Karne Ki Than Li Hai in PDF.