Wahshat Mein Dil Kitna Kushada Karna PaDta Hai

wahshat mein dil kitna kushada karna paDta hai

in gili aankhon ko sahra karna paDta hai

mujh ko ek aawaz teri sunne ki koshish mein

kitne sannaTon ka pichha karna paDta hai

tab khulti hai hum par qadr-o-qimat phulon ki

jab kanTon ke sath guzara karna paDta hai

yar baDa ban kar rahna aasan nahin hota

apne aap ko kitna chhoTa karna paDta hai

koh-e-giran hail hota hai jis ke raste mein

ek din us ko tez dhamaka karna paDta hai

apne ghar ki baaten 'azim' ghar tak rakhne mein

diwar-o-dar se samjhauta karna paDta hai

(816) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wahshat Mein Dil Kitna Kushada Karna PaDta Hai In English By Famous Poet Ainuddin Azim. Wahshat Mein Dil Kitna Kushada Karna PaDta Hai is written by Ainuddin Azim. Read famous Poem Wahshat Mein Dil Kitna Kushada Karna PaDta Hai for youth and Student by Ainuddin Azim. Free Download Wahshat Mein Dil Kitna Kushada Karna PaDta Hai in PDF.