Yahi Ek Jism-e-fani Jawedani Ka Ahata Karne Wala Hai

yahi ek jism-e-fani jawedani ka ahata karne wala hai

kirae ka makan hi la-makani ka ahata karne wala hai

Thahar jao ghaDi bhar dhaDkanon is tez-rau ka jaeza le lun

sukun andar ka bahar ki rawani ka ahata karne wala hai

ise aansu samajh kar mat girao rahne do palkon pe hi goya

yahi qatra tumhaari be-zabani ka ahata karne wala hai

gila barson ka hai jitni safai doge utna tul pakDega

ab harf-e-mazarat hi lantarani ka ahata karne wala hai

in aankhon mein ghazal ka wo mukammal istiara hai ki jo 'azim'

KHutut-e-jism ke lafz-o-maani ka ahata karne wala hai

(705) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yahi Ek Jism-e-fani Jawedani Ka Ahata Karne Wala Hai In English By Famous Poet Ainuddin Azim. Yahi Ek Jism-e-fani Jawedani Ka Ahata Karne Wala Hai is written by Ainuddin Azim. Read famous Poem Yahi Ek Jism-e-fani Jawedani Ka Ahata Karne Wala Hai for youth and Student by Ainuddin Azim. Free Download Yahi Ek Jism-e-fani Jawedani Ka Ahata Karne Wala Hai in PDF.