Jo Hota Aah Teri Aah-e-be-asar Mein Asar

jo hota aah teri aah-e-be-asar mein asar

to kuchh to hota dil-e-shoKH-e-fitnagar mein asar

bas ek nigah mein mashuq chhin len hain dil

KHuda ne un ki diya hai ajab nazar mein asar

na chhoDi gham ne mere ek jigar mein KHun ki bund

kahan se ashk ka ho kahiye chashm-e-tar mein asar

ho us ke sath ye be-iltifati-e-gul kyun

jo andalib ke ho nala-e-sahar mein asar

kisi ka qaul hai sach sang ko kare hai mom

rakkha hai KHas KHuda ne ye sim-o-zar mein asar

jo aah ne falak-e-pir ko hila Dala

to aap hi kahiye ki haiga ye kis asar mein asar

jo dekh le to jahannam ki phere bandh jae

hai meri aah ke wo ek ek sharar mein asar

bigaDen charKH se hum 'aish' kis bharose par

na aah mein hai na soz-e-dil-o-jigar mein asar

(719) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Hota Aah Teri Aah-e-be-asar Mein Asar In English By Famous Poet Aish Dehlvi. Jo Hota Aah Teri Aah-e-be-asar Mein Asar is written by Aish Dehlvi. Read famous Poem Jo Hota Aah Teri Aah-e-be-asar Mein Asar for youth and Student by Aish Dehlvi. Free Download Jo Hota Aah Teri Aah-e-be-asar Mein Asar in PDF.