Jurat Ai Dil Mai O Mina Hai Wo KHud-kaam Bhi Hai

jurat ai dil mai o mina hai wo KHud-kaam bhi hai

bazm aghyar se KHali bhi hai aur sham bhi hai

zulf ke niche KHat-e-sabz to dekha hi na tha

ai lo ek aur naya dam tah-e-dam bhi hai

chaaragar jaane de taklif-e-mudawa hai abas

maraz-e-ishq se hota kahin aaram bhi hai

ho gaya aaj shab-e-hijr mein ye qaul ghalat

tha jo mashhur ki aaghaz ko anjam bhi hai

kaam-e-jaanan mera lab-e-yar ke bose se siwa

KHugar-e-chashni-e-lazzat-e-dushnam bhi hai

shaiKH ji aap hi insaf se farmaen bhala

aur aalam mein koi aisa bhi badnam bhi hai

zulf o ruKH dair o haram sham o sahar 'aish' in mein

zulmat-e-kufr bhi hai jalwa-e-islam bhi hai

(888) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jurat Ai Dil Mai O Mina Hai Wo KHud-kaam Bhi Hai In English By Famous Poet Aish Dehlvi. Jurat Ai Dil Mai O Mina Hai Wo KHud-kaam Bhi Hai is written by Aish Dehlvi. Read famous Poem Jurat Ai Dil Mai O Mina Hai Wo KHud-kaam Bhi Hai for youth and Student by Aish Dehlvi. Free Download Jurat Ai Dil Mai O Mina Hai Wo KHud-kaam Bhi Hai in PDF.