Kuchh Kam Nahin Hain Shama Se Dil Ki Lagan Mein Hum

kuchh kam nahin hain shama se dil ki lagan mein hum

fanus mein wo jalti hai yan pairahan mein hum

hain tufta-jaan mufaraqat-e-gul-badan mein hum

aisa na ho ki aag laga den chaman mein hum

gum honge bu-e-zulf-e-shikan-dar-shikan mein hum

qabza karenge chin ko le kar KHutan mein hum

gar ye hi chheD dast-e-junun ki rahi to bas

mar kar bhi sina chaak karenge kafan mein hum

mahw-e-KHayal-e-zulf-e-butan umr bhar rahe

mashhur kyun na hon kaho diwana-pan mein hum

honge aziz KHalq ki nazron mein dekhna

gir kar bhi apne yar ke chah-e-zaqan mein hum

chhakke hi chhuT jaenge ghairon ke dekhna

aa nikle han kabhi jo teri anjuman mein hum

ai andalib dawa-e-behuda par kahin

ek aadh gul ka munh na masal den chaman mein hum

aashiq hue hain parda-nashin par bas is liye

rakhte hain soz-e-ishq nihan jaan o tan mein hum

zalim ki sach masal hai ki rassi daraaz hai

misdaq us ka pate hain charKH-e-kuhan mein hum

anqa ka 'aish' nam to hai go nishan nahin

yan wo bhi kho chuke hain talash-e-dahan mein hum

(914) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kuchh Kam Nahin Hain Shama Se Dil Ki Lagan Mein Hum In English By Famous Poet Aish Dehlvi. Kuchh Kam Nahin Hain Shama Se Dil Ki Lagan Mein Hum is written by Aish Dehlvi. Read famous Poem Kuchh Kam Nahin Hain Shama Se Dil Ki Lagan Mein Hum for youth and Student by Aish Dehlvi. Free Download Kuchh Kam Nahin Hain Shama Se Dil Ki Lagan Mein Hum in PDF.