Tu Hi Insaf Se Kah Jis Ka KHafa Yar Rahe

tu hi insaf se kah jis ka KHafa yar rahe

apne jine se na kis tarah wo be-zar rahe

zaKHm-e-dil chhile kabhi aur kabhi zaKHm-e-jigar

naKHun-e-dast-e-junun kab mere be-kar rahe

in jafaon ka maza tum ko chakha dewenge

han agar zinda hum ai charKH-e-jafakar rahe

mai-kade mein hai baDi ye hi mughan ki piri

ki bas us chashm-e-siyah-mast se hushyar rahe

jalte bhunte rahe hum bazm-e-butan mein lekin

shama san us pe bhi sar dene ko tayyar rahe

yun to kya KHwab mein bhi yar ka milna malum

apne gar aah yahi tala-e-bedar rahe

ek ja sine mein un donon ka rahna hai muhaal

ya ye dil hi rahe ya aah-e-sharar-bar rahe

us se dil KHak ho ummid-e-husul-e-matlab

jis se ek bose pe sau tarah ki takrar rahe

le ke paikan se tere tir bata to qatil

KHun mein Dube nahin kab ta lab-e-sofar rahe

jins-e-dil aatish-e-ulfat mein jale jo chahe

par kisi tarah teri garmi-e-bazar rahe

bazi-e-ishq mein chipke raho kya KHak kahen

ek dil rakhte the pas apne so bar rahe

aisa dam nak mein aaya hai ki hum raazi hain

'aish' gar sine mein is dil ke ewaz KHar rahe

(840) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tu Hi Insaf Se Kah Jis Ka KHafa Yar Rahe In English By Famous Poet Aish Dehlvi. Tu Hi Insaf Se Kah Jis Ka KHafa Yar Rahe is written by Aish Dehlvi. Read famous Poem Tu Hi Insaf Se Kah Jis Ka KHafa Yar Rahe for youth and Student by Aish Dehlvi. Free Download Tu Hi Insaf Se Kah Jis Ka KHafa Yar Rahe in PDF.