Bande Zamin Aur Aasman Sarma Ki Shab Kahaniyan

bande zamin aur aasman sarma ki shab kahaniyan

sachchi hain ye rifaqaten baqi hain sab kahaniyan

KHeme ukhaD ujaD gae aisi hawa-e-shab chali

kirnen zamin pe likh gain kaisi ajab kahaniyan

wusat-e-dasht ke makin wadi mein kuch kar gae

shaKHon pe barf likh gai naghma-ba-lab kahaniyan

chand ki KHak aa gai pairon tale hayat ke

aisi kaThin riwayaten aisi kaDhab kahaniyan

jauhar-e-haq nahin mila mujh ko kisi kitab mein

miTTi se sun raha hun main aali-nasab kahaniyan

wusat-e-koh-o-dasht ho shahr o nagar ka gasht ho

mera safar hikayaten mera adab kahaniyan

shahron ko kya KHabar ki main kaun hun kis faza mein hun

likhni hain ek din mujhe sabr-talab kahaniyan

(943) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bande Zamin Aur Aasman Sarma Ki Shab Kahaniyan In English By Famous Poet Aitbar Sajid. Bande Zamin Aur Aasman Sarma Ki Shab Kahaniyan is written by Aitbar Sajid. Read famous Poem Bande Zamin Aur Aasman Sarma Ki Shab Kahaniyan for youth and Student by Aitbar Sajid. Free Download Bande Zamin Aur Aasman Sarma Ki Shab Kahaniyan in PDF.