BhiD Hai Bar-sar-e-bazar Kahin Aur Chalen

bhiD hai bar-sar-e-bazar kahin aur chalen

aa mere dil mere gham-KHwar kahin aur chalen

koi khiDki nahin khulti kisi baghiche mein

sans lena bhi hai dushwar kahin aur chalen

tu bhi maghmum hai main bhi hun bahut afsurda

donon is dukh se hain do-chaar kahin aur chalen

DhunDte hain koi sarsabz kushada si faza

waqt ki dhund ke us par kahin aur chalen

ye jo phulon se bhara shahr hua karta tha

us ke manzar hain dil-azar kahin aur chalen

aise hangama-e-mahshar mein to dam ghuTta hai

baaten kuchh karni hain is bar kahin aur chalen

(1365) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

BhiD Hai Bar-sar-e-bazar Kahin Aur Chalen In English By Famous Poet Aitbar Sajid. BhiD Hai Bar-sar-e-bazar Kahin Aur Chalen is written by Aitbar Sajid. Read famous Poem BhiD Hai Bar-sar-e-bazar Kahin Aur Chalen for youth and Student by Aitbar Sajid. Free Download BhiD Hai Bar-sar-e-bazar Kahin Aur Chalen in PDF.