ChhoTe ChhoTe Kai Be-faiz Mafadat Ke Sath

chhoTe chhoTe kai be-faiz mafadat ke sath

log zinda hain ajab surat-e-haalat ke sath

faisla ye to bahar-haal tujhe karna hai

zehn ke sath sulagna hai ki jazbaat ke sath

guftugu der se jari hai natije ke baghair

ek nai baat nikal aati hai har baat ke sath

ab ke ye soch ke tum zaKHm-e-judai dena

dil bhi bujh jaega Dhalti hui is raat ke sath

tum wahi ho ki jo pahle the meri nazron mein

kya izafa hua in atlas o banat ke sath

itna paspa na ho diwar se lag jaega

itne samjhaute na kar surat-e-haalat ke sath

bhejta rahta hai gum-nam KHaton mein kuchh phul

is qadar kis ko mohabbat hai meri zat ke sath

(1002) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

ChhoTe ChhoTe Kai Be-faiz Mafadat Ke Sath In English By Famous Poet Aitbar Sajid. ChhoTe ChhoTe Kai Be-faiz Mafadat Ke Sath is written by Aitbar Sajid. Read famous Poem ChhoTe ChhoTe Kai Be-faiz Mafadat Ke Sath for youth and Student by Aitbar Sajid. Free Download ChhoTe ChhoTe Kai Be-faiz Mafadat Ke Sath in PDF.