DhunDte Kya Ho In Aankhon Mein Kahani Meri

DhunDte kya ho in aankhon mein kahani meri

KHud mein gum rahna to aadat hai purani meri

bhiD mein bhi tumhein mil jaunga aasani se

khoya khoya hua rahna hai nishani meri

main ne ek bar kaha tha ki bahut pyasa hun

tab se mashhur hui tishna-dahani meri

yahi diwar-o-dar-o-baam the mere hamraaz

inhi galiyon mein bhaTakti thi jawani meri

tu bhi is shahr ka basi hai to dil se lag ja

tujh se wabasta hai ek yaad purani meri

karbala dasht-e-mohabbat ko bana rakkha hai

kya ghazal-goi hai kya marsiya-KHwani meri

dhime lahje ka suKHnawar hun na sahba hun na josh

main kahan aur kahan shoala-bayani meri

(1767) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

DhunDte Kya Ho In Aankhon Mein Kahani Meri In English By Famous Poet Aitbar Sajid. DhunDte Kya Ho In Aankhon Mein Kahani Meri is written by Aitbar Sajid. Read famous Poem DhunDte Kya Ho In Aankhon Mein Kahani Meri for youth and Student by Aitbar Sajid. Free Download DhunDte Kya Ho In Aankhon Mein Kahani Meri in PDF.