Kabhi Tu Ne KHud Bhi Socha Ki Ye Pyas Hai To Kyun Hai

kabhi tu ne KHud bhi socha ki ye pyas hai to kyun hai

tujhe pa ke bhi mera dil jo udas hai to kyun hai

mujhe kyun aziz-tar hai ye dhuan dhuan sa mausam

ye hawa-e-sham-e-hijran mujhe ras hai to kyun hai

tujhe kho ke sochta hun mere daman-e-talab mein

koi KHwab hai to kyun hai koi aas hai to kyun hai

main ujaD ke bhi hun tera tu bichhaD ke bhi hai mera

ye yaqin hai to kyun hai ye qayas hai to kyun hai

mere tan barahna-dushman isi gham mein ghul rahe hain

ki mere badan pe salim ye libas hai to kyun hai

kabhi puchh us ke dil se ki ye KHush-mizaj shair

bahut apni shairi mein jo udas hai to kyun hai

tera kis ne dil bujhaya mere 'eatibar-sajid'

ye charagh-e-hijr ab tak tere pas hai to kyun hai

(1282) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kabhi Tu Ne KHud Bhi Socha Ki Ye Pyas Hai To Kyun Hai In English By Famous Poet Aitbar Sajid. Kabhi Tu Ne KHud Bhi Socha Ki Ye Pyas Hai To Kyun Hai is written by Aitbar Sajid. Read famous Poem Kabhi Tu Ne KHud Bhi Socha Ki Ye Pyas Hai To Kyun Hai for youth and Student by Aitbar Sajid. Free Download Kabhi Tu Ne KHud Bhi Socha Ki Ye Pyas Hai To Kyun Hai in PDF.