Kaha Din Ko Bhi Ye Ghar Kis Liye Viran Rahta Hai

kaha din ko bhi ye ghar kis liye viran rahta hai

yahan kya hum sa koi be-sar-o-saman rahta hai

dar-o-diwar sannaTe ki chadar mein hain KHwabida

bhala aisi jagah zinda koi insan rahta hai

musalsal puchhne par ek chilman se jawab aaya

yahan ek dil-shikasta sahab-e-diwan rahta hai

jhijak kar main ne puchha kya kabhi bahar nahin aata

jawab aaya use KHalwat mein itminan rahta hai

kaha kya us ke rishta-dar bhi milne nahin aate

jawab aaya ye sahra raat-din sunsan rahta hai

kaha koi to hoga us ke dukh-sukh banTne wala

jawab aaya nahin KHali ye ghar ye lawn rahta hai

kaha is ghar ke aangan mein hain kuchh phulon ke paude bhi

jawab aaya ki KHali phir bhi har gul-dan rahta hai

kaha kya is mohalle mein nahin pursan-e-haal us ka

jawab aaya KHayal us ka mujhe har aan rahta hai

KHuda ka shukr hai hum ek faza mein sans lete hain

agar milte nahin itna to itminan rahta hai

(1047) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kaha Din Ko Bhi Ye Ghar Kis Liye Viran Rahta Hai In English By Famous Poet Aitbar Sajid. Kaha Din Ko Bhi Ye Ghar Kis Liye Viran Rahta Hai is written by Aitbar Sajid. Read famous Poem Kaha Din Ko Bhi Ye Ghar Kis Liye Viran Rahta Hai for youth and Student by Aitbar Sajid. Free Download Kaha Din Ko Bhi Ye Ghar Kis Liye Viran Rahta Hai in PDF.