Kaha TaKHliq-e-fan Bole Bahut Dushwar To Hogi

kaha taKHliq-e-fan bole bahut dushwar to hogi

kaha maKHluq bole bais-e-azar to hogi

kaha: hum kya karen is ahd-e-na-pursan mein kuchh kahiye

wo bole koi aaKHir surat-e-izhaar to hogi

kaha: hum apni marzi se safar bhi kar nahin sakte

wo bole har qadam par ek nai diwar to hogi

kaha: aankhen nahin is gham mein binai bhi jati hai

wo bole hijr ki shab hai zara dushwar to hogi

kaha: jalta hai dil bole ise jalne diya jae

andhere mein kisi ko raushni darkar to hogi

kaha: ye kucha-gardi aur kitni der tak aaKHir

wo bole ishq mein miTTi tumhaari KHwar to hogi

(951) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kaha TaKHliq-e-fan Bole Bahut Dushwar To Hogi In English By Famous Poet Aitbar Sajid. Kaha TaKHliq-e-fan Bole Bahut Dushwar To Hogi is written by Aitbar Sajid. Read famous Poem Kaha TaKHliq-e-fan Bole Bahut Dushwar To Hogi for youth and Student by Aitbar Sajid. Free Download Kaha TaKHliq-e-fan Bole Bahut Dushwar To Hogi in PDF.