Kaise Kahin Ki Jaan Se Pyara Nahin Raha

kaise kahin ki jaan se pyara nahin raha

ye aur baat ab wo hamara nahin raha

aansu tere bhi KHushk hue aur mere bhi

nam ab kisi nadi ka kinara nahin raha

kuchh din tumhaare lauT ke aane ki aas thi

ab is ummid ka bhi sahaara nahin raha

raste mah-o-nujum ke tabdil ho gae

in khiDkiyon mein ek bhi tara nahin raha

samjhe the dusron se bahut muKHtalif tujhe

kya man len ki tu bhi hamara nahin raha

hathon pe bujh gai hai muqaddar ki kahkashan

ya rakh ho gaya wo sitara nahin raha

tum eatibar us ke liye kyun udas ho

ek shaKHs jo kabhi bhi tumhaara nahin raha

(1622) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kaise Kahin Ki Jaan Se Pyara Nahin Raha In English By Famous Poet Aitbar Sajid. Kaise Kahin Ki Jaan Se Pyara Nahin Raha is written by Aitbar Sajid. Read famous Poem Kaise Kahin Ki Jaan Se Pyara Nahin Raha for youth and Student by Aitbar Sajid. Free Download Kaise Kahin Ki Jaan Se Pyara Nahin Raha in PDF.