Phir Wahi Lambi Do-pahren-surmai Hain Phir Wahi Dil Ki Haalat Hai

phir wahi lambi do-pahren-surmai hain phir wahi dil ki haalat hai

bahar kitna sannaTa hai andar kitni wahshat hai

sham karen kaise is din ki ThanDi surat dekhen kin ki

idhar udhar to dhuan uDati aag ugalti KHilqat hai

jis ko hum ne chaha tha wo kahin nahin is manzar mein

jis ne hum ko pyar kiya wo samne wali murat hai

phul babul ke achchhe hain lekin sakit taswiron mein

sach much ke sehraon ki to is dil jaisi surat hai

tere baad dukanon par main ja kar puchhta rahta hun

kya wo KHushbu mil sakti hai ab us ki kya qimat hai

baDe baDe sapne nahin boe main ne apne aangan mein

nannhi munni KHushiyan hain meri chhoTi si ek jannat hai

(1029) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Phir Wahi Lambi Do-pahren-surmai Hain Phir Wahi Dil Ki Haalat Hai In English By Famous Poet Aitbar Sajid. Phir Wahi Lambi Do-pahren-surmai Hain Phir Wahi Dil Ki Haalat Hai is written by Aitbar Sajid. Read famous Poem Phir Wahi Lambi Do-pahren-surmai Hain Phir Wahi Dil Ki Haalat Hai for youth and Student by Aitbar Sajid. Free Download Phir Wahi Lambi Do-pahren-surmai Hain Phir Wahi Dil Ki Haalat Hai in PDF.