Raste Ka IntiKHab Zaruri Sa Ho Gaya

raste ka intiKHab zaruri sa ho gaya

ab iKHtitam-e-bab zaruri sa ho gaya

hum chup rahe to aur bhi ilzam aaega

ab kuchh na kuchh jawab zaruri sa ho gaya

hum Talte rahe ki ye naubat na aane pae

phir hijr ka azab zaruri sa ho gaya

har sham jald sone ki aadat hi paD gai

har raat ek KHwab zaruri sa ho gaya

aahon se TuTta nahin ye gumbad-e-siyah

ab sang-e-aftab zaruri sa ho gaya

dena hai imtihan tumhaare firaq ka

ab sabr ka nisab zaruri sa ho gaya

(1154) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raste Ka IntiKHab Zaruri Sa Ho Gaya In English By Famous Poet Aitbar Sajid. Raste Ka IntiKHab Zaruri Sa Ho Gaya is written by Aitbar Sajid. Read famous Poem Raste Ka IntiKHab Zaruri Sa Ho Gaya for youth and Student by Aitbar Sajid. Free Download Raste Ka IntiKHab Zaruri Sa Ho Gaya in PDF.